Wednesday, 31 July 2013

Khwaboon mein tera chehraa parhtaa hoon,

Khwaboon mein tera chehraa parhtaa hoon,
Khawaab ko haqeeqat banaoon kaise !!!
Ikhteyaar mein mere ab kuch bhi nahin,
Akele ik aashiyaan banaaon kaise !!!

Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai

Chand ko sitaron se aur mujhe tum se Mohabbat hai
Phoolon ko baharon se aur mujhe tum se Mohabbat hai

Mehfil main jo milna nighahein jhuka lena
koi samjh na paye ke mujhe tum se Mohabbat hai

Ab tere hijr main bus ek kaam hai Aasman takna
Tum sitaron pe likh dena mujhe tum se Mohabbat hai

Hai hamain ehsas tum ko bhi hum se Pyaar hai lekin
Yeh mere ru - ba - ru kehna mujhe tum se Mohabbat hai

Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho,


Lamhe Ye Suhane Saath Ho Na Ho,

Kal Me Aaj Jaisi Koi Baat Ho Na Ho,

Aapka Pyar Hamesha Is Dil Mei Rahega,

Chahe Poori Umar Mulakat Ho Na Ho..

Na Kabhi Muskurahat Tere Hothon Se Duur Ho..

Teri Har Khwahish Haqiqat Ko Manzoor Ho..

Ho Jaye Jo Tu Mujhse Khafa..

Khuda Na Kare Mujhse Kabhi Aisa Kasoor Ho..

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par

Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi….

Mohabbat jis ko kehtey hen,

*Mohabbat jis ko kehtey hen,
Barii mushkil se hotii hai….
Faqat aik baar hotii hai…
Khuloos e dil se hotii hai.